اردو हिंदी
Chil ka saya | Shaahi Shayari
chil ka saya

Nazm

Chil ka saya

Mohammad Alvi

;

dhup diwar se rengte rengte
chaarpai ke niche

laTakte hue panw par aa ke Dasne lagi!
khelte khelte

munni chillai roi phir hanse lagi
chil ka saya

aangan se
diwar se

chhat se hota hua
pas wali gali mein kahin gir gaya!

aur main dhup mein
jhulti chaarpai par leTa hua

algani par laTakti
phaTi painT ki KHali jebon ko takta raha!

painT ki KHali jebon se pani Tapakta raha!
dhup ka zahr

pairon se hota hua
dil ki jaanib lapakta raha!

chil ka saya
sare badan mein bhaTakta raha!!