اردو हिंदी
ChiDiyon ka shor | Shaahi Shayari
chiDiyon ka shor

Nazm

ChiDiyon ka shor

Zeeshan Sahil

;

safed kaghaz par
pencil ke chalne ki aawaz

bahut kam hai
saDak par tank guzarne ki aawaz

is se kuchh ziyaada hai
aur shayad meri aawaz

in donon aawazon se ziyaada hai
magar sab se ziyaada hai

chiDiyon ka shor
baDhta hi rahta

jab ek shikari aata hai
hawa mein banduq chalata hai

ek chiDiya KHauf se mar jati hai
baqi shor machati hain

chiDiyon ka shor ziyaada ho jata hai
shikari ko mar deta hai