pahle gyarah the pisar is sal bara dekhna
ishq ke aKHbar ka taza shumara dekhna
chunki hum donon hi buDhe ho chuke hain is liye
main suhagan DhunDhta hun tum kanwara dekhna
main tumhaari laTri mein jab nikal aaya to phir
apni ammi se kaho kya istiKHara dekhna
un ki ammi jaan mein un se zyaada jaan hai
lazzat-e-alu pas-e-alu buKHara dekhna
hai kisi tifl-e-muhajir ki tarah sahma hua
'KHalid-e-irfan' ki shadi ka chhuara dekhna
Nazm
Chhuara dekhna
Khalid Irfan