chae khana bartan bhanDe
saf karna jo hain gande
bas yahi mera kaam hai
aur jaante ho chhoTu mera nam hai
ghar ka akela laDka hun baqi sab laDki hain
chaar bachchon sang bin man ke is ghar mein kaDki hai
man ke peT mein hi mera sauda kiya tha
baba ne mere dam par qarz chukta kiya tha
banaya mujh ko bandhua mazdur
kaam karne ko kiya majbur
sukh to dekho koson dur
kahan se aae chehre par nur
paDhna likhna to chhoDo yahan khane ke lale hain
aise na ghabrao ke in nanhe hathon par chhaale hain
chhoTu ho kar bhi is ghar ko bas hum hi pale hain
aise hi dusre hathon mein khilaunon ne ko dekha hai
par dekho hum par qismat ne kaisa patthar phenka hai
kya lagta hai tum ko hum ne bahut khela hai
sab in hathon ne bas kaam ka bojh jhela hai
is zindagi ka pahiya to yahi par hi jam hai
meri zindagi mein bas ek yahi kaam hai
aur jaante ho chhoTu mera nam hai
Nazm
ChhoTu
Ankita Garg