main nazm likhta hun
chhoTi si bachchi mujhe dekhti hai
aur mere pas baiTh jati hai
main likhta rahta hun
wo takiye par apne baalon bhare bandar ko sulane lagti hai
wo apne chhoTe se hathi ko
hathon mein le kar us se baaten karti hain
bahar se firing ki aawaz aati hai
main us se puchhta hun
Dar to nahin lag raha?
nahin wo bahut aasani se jawab deti hai
aur apna hathi mujhe de deti hai
jahan shishe ke do chamakdar baizawi TukDon mein
chhoTi si bachchi ka aks
hamesha jhilmilata rahta hai
main nazm likhta rahta hun
khelte khelte achanak
wo mujh se puchhti hai
'zishan', kya tumhein bhi
bahut sara home-work mila hai?
han, bahut sara
main kahta hun
aur us ke hathi se khelne lagta hun
Nazm
ChhoTi si bachchi
Zeeshan Sahil