ye mera shahr hai
KHub-surat hasin
chandni ka nagar dhup ki sarzamin
shahr ke roz o shab meri aankhen
jis tarah putliyan aur safedi
main in aankhon se sab manzar-e-rang-o-bu dekhta hun
rasta rasta ku-ba-ku dekhta hun
main ki shab-gard shair
chand se baaten karte hue chal paDa tha
ek basti mili
malgaje aur siyah jhonpaDe chaar-su
jhonpaDe jin ki shamon mein sansen na thin
zard bimar ujale
rakh aur gandagi
ek ufunat ka ambar
zindagi jaise sharma rahi thi
meri jaanib kahin dur se ek saya baDha
main ne puchha ki tum kaun ho
wo ye kahne laga
main ki zulmat hun tum raushni do mujhe
main jihaalat hun tum aagahi do mujhe
main najasat hun pakizgi do mujhe
lo suno aur dekho mujhe
main chhaTa aadmi hun bacha lo mujhe
main chhaTa aadmi hun bacha lo mujhe
Nazm
ChhaTa aadmi
Shaz Tamkanat