rifaqat ke nashe mein jhumte
do sabz patton ne
bahut aahista se tali bajai
aur kaha
dekho hasan-abbas!
itni KHub-surat rut mein
koi is tarah tanha bhi hota hai
jo tum is taur tanha ho!?
ye kah kar donon ek duje se yun lipTe
ki jaise ek din tu mujh se lipTi thi
usi lamhe
mere honTon pe tera shahd-agin
lams jag uTTha
aur us gum-gashta nashshe ko main honTon par sajae
apne kamre mein chala aaya
ki daftar ka bahut sa kaam baqi tha
Nazm
Chhajon barasti barish ke baad
Hasan Abbas Raza