اردو हिंदी
Chhachhundar | Shaahi Shayari
chhachhundar

Nazm

Chhachhundar

Mohammad Yusuf Papa

;

leTiye gar aap nange taKHt par
riDh ki haDDi ko hoga faeda

ek muddat se yahi hai qaeda
lekin is yug ka tariqa aur hai

baat zer-e-ghaur hai
taKHt par leTen to aa jata hai dast

is liye sab log Dhili chaarpai par hain mast
saKHtiyan bardasht kar pate nahin

ji nahin pate hain
mar pate nahin

zindagani sanp ke munh ki chhachhundar ho gai