ye daur-e-nau-mubarak farKHanda-aKHtari ka
jamhuriyat ka aaghaz anjam qaisari ka
kya jaan-faza hai jalwa KHurshid-e-KHawari ka
har ek shua-e-raqsan misra hai anwari ka
roz-e-said aaya chhabbis january ka
daur-e-jadid laya bhaarat ki bartari ka
bhaarat ki bartari mein kis ko kalam hai ab
tha jo rahin-e-pasti gardun-maqam hai ab
jamhuriyat pe qaem sara nizam hai ab
aala hai ya hai adna ba-ehtiram hai ab
roz-e-said aaya chhabbis january ka
daur-e-jadid laya bhaarat ki bartari ka
sadiyon ke band TuTe aazad hogae hum
qaid-e-giran se chhuTe dil-e-shad ho gae hum
be-KHauf be-niyaz-e-sayyaad ho gae hum
phir bas gaya nasheman aabaad hogae hum
roz-e-said aaya chhabbis january ka
daur-e-jadid laya bhaarat ki bartari ka
jo muztarib thi dil mein wo aarzu bar aai
takmil-e-arzu ne dil ki KHalish miTai
jis mulk par ghulami ban ban ke sham chhai
subh-e-masarrat us ko allah ne dikhai
roz-e-said aaya chhabbis january ka
daur-e-jadid laya bhaarat ki bartari ka
tabir-e-KHwab-e-'gandhi' tafsir-e-haal-e-'nehru'
'azad' ki riyazat 'sardar' ki tagapu
raKHshan hai hurriyat ka zeba-nigar dil-ju
taskin-e-qalb muslim aaram-e-jaan-e-hindu
roz-e-said aaya chhabbis january ka
daur-e-jadid laya bhaarat ki bartari ka
qurban hue jo is par ruhen hain shad un ki
hum jis se bahra-war hain wo hai murad un ki
hai bas-ki sarfaroshi shayan-e-dad un ki
bhaarat ki is KHushi mein shamil hai yaad un ki
roz-e-said aaya chhabbis january ka
daur-e-jadid laya bhaarat ki bartari ka
aazad ho gaya jab hindostan hamara
hai sud ke barabar har ek ziyan hamara
manzil pe aan pahuncha jab karwan hamara
kyun ho ghubar-e-manzil KHatir-nishan hamara
roz-e-said aaya chhabbis january ka
daur-e-jadid laya bhaarat ki bartari ka
aiwan-e-farruKHi ki tamir-e-nau mubarak
aain-e-zindagi ki tadbir-e-nau mubarak
har zarra-e-watan ko tanwir-e-nau mubarak
bhaarat ke har bashar ko tauqir-e-nau mubarak
roz-e-said aaya chhabbis january ka
daur-e-jadid laya bhaarat ki bartari ka
bhaarat ka azm hai ye taufiq ai KHuda de
duniya se in-o-an ki tafriq ko miTa de
amn-o-aman se rahna har mulk ko sikha de
har qaum shukriye mein har sal ye sada de
roz-e-said aaya chhabbis january ka
daur-e-jadid laya bhaarat ki bartari ka
Nazm
Chhabbis january
Tilok Chand Mahroom