subh suraj
raat ki tira-salaKHon se nikal aaya
aur us ne shahar ki nangi hatheli mein
shua-e-harkat-e-be-sud ki ek kil gaDi
aur sare shahr ki maKHluq
jaise apne apne
halqa-e-marg-e-musalsal ki taraf bhagi
udhar chauthe quarter se wo nikli
pople munh aur pichke gal
make-up ke plastar mein chhupae
fasioni kapDon mein kafnaya buDhapa
jis tarah qabron pe koi shaKHs
shahnai bajae
aur hamesha ki tarah hamrah thi
us ki jawan beTi
ki jis ki sanwli surat
mohalle ke jawan laDkon mein rozana
laDai ka bahana hai
wo din bhar yunhi bazaron mein
apni jawan beTi ko ungli se lagae
ghumti rahti hai
jis par log kahte hain
ki ye buDhiya koi mashkuk aurat hai
isi bais mohalle mein
kabhi chauthe quarter ko kisi ne
achchhi nazron se nahin dekha
main akasr sochta hun
gar koi us ke quarter se gine
mera quarter bhi to chautha hai
bas itna farq
main shair hun
jab koi ghazal ya nazm likhta hun
to aKHbaron mein chhapwata hun
yaron ko sunata hun
jahan-bhar ko batata hun
ki main ne nazm likkhi hai
Nazm
Chautha quarter
Nisar Nasik