han ai gharib laDki tu bhik mangti hai
chashm-e-sawal teri kuchh kah ke jhuk gai hai
tu bhik mangti hai sharm-o-haya ki mari
aur sar se le ke pa tak hai kapkapi si tari
aankhon mein hai nami si aaina si jabin hai
tujh ko gadagari ki aadat abhi nahin hai
qismat mein gesuon ki aaina hai na shana
shayad teri nazar mein tarik hai zamana
ye tera jism-e-nazuk bosida pairahan mein
jaise gul-e-fasurda ujDe hue chaman mein
jhuk jaen tere aage shaitan ki nigahen
par kha rahi hain tujh ko insan ki nigahen
pakizgi pe teri sita ko pyar aae
masumiyat pe tujh ko maryam gale lagae
huren lapak ke chumen, paen qadam jo tere
har naqsh-e-pa pe tere sajde karen farishte
ai kash wo batae hai jis ki ye KHudai
ye chashm-e-nargisi hai ya kasa-e-gadai!
lab hain ki pattharon ke TukDe jame hue hain!
ruKH hain ki rahguzar ke bujhte hue diye hain!
Nazm
Chashm-e-sawal!
Moin Ahsan Jazbi