chashm-e-be-KHwab ko saman bahut!
raat-bhar shahr ki galiyon mein hawa
hath mein sang liye
KHauf se zard makanon ke dhaDakte dil par
dastaken deti chali jati hai
raushni band kiwaDon se nikalte hue ghabraati hai
har taraf chiKH si chakraati hai
hain mere dil ke liye dard ke unwan bahut
dard ka nam samaat ke liye rahat-e-jaan
dast-e-be-maya ko zar
nutq-e-KHamosh ko lafz
KHwab-e-be-dar ko makan
dard ka nam mere shahr-e-KHwahish ka nishan
manzil-e-reg-e-rawan
dard ki rah pe taskin ke imkan bahut!
hijr ka dard kaThin hai phir bhi
wo bhi us roz bichhaD kar mujh se
KHush to na thi
us ne ye manzil-e-gham
kis tarah kaTi hogi
wo bhi to meri tarah hogi pareshan bahut
(dard ki rah mein taskin ke saman bahut)
kya KHabar us ki samaat ke liye
dard ka nam bhala ho ki na ho
shahr-e-KHwahish ka nishan
nutq-e-KHamosh ka izhaar hua ho ki na ho
dast-e-be-maya ka zar (wo tahi-dast na thi)
hijr ka dard bana ho ki na ho
us ki galiyon mein rawan dastaken deti hui surKH hawa ho ki na ho
ishq-e-nau-KHez ke arman bahut
shauq-e-gul-rang ke raste mein bayaban bahut
soKHta-jaan bahut
chashm-e-be-KHwab ko saman bahut
Nazm
Chashm-e-be-KHwab ko saman bahut
Amjad Islam Amjad