aag barabar phenk raha tha suraj dharti walon par
tapti zamin par lu ke bagule KHak uDate phirte the
nahr kinare ujDe ujDe peD khaDe the kikar ke
jin par dhup hansa karti hai waise un ke sae the
ek charwaha bheDen le kar jin ke niche baiTha tha
sar par maila safa tha aur kulhaDi thi hathon mein
chalte chalte charwahe se main ne itna puchh liya
ai bheDon ke rakhwale kya log yahan ke dana hain
kya ye sach hai yan ka hakim nek bahut aur aadil hai
sar ko jhuka kar dhundli aankhon wala dhime se bola
baadal kam kam aate hain aur barish kab se ruThi hai
nahren band paDi hain jab se sari dharti sukhi hai
kuchh salon se kikar par bhi phalliyan kam hi lagti hain
meri bheDen pyasi bhi hain meri bheDen bhuki hain
Nazm
Charwahe ka jawab
Ali Akbar Natiq