'charlie-chaplin' ne kaha
use barish mein chalna pasand hai
kyunki tab koi us ke
aansu nahin dekh pata
us ne chaar shadiyan kin
aur bara muashiqe
aurten us par fida thin
wo unhen kisi bhi waqt
joy-ride de sakta tha
jab 'charlie' ke pairon mein
phaTe hue jute hua karte the
ek aurat ne us ki mohabbat
mustarad kar di thi
us ne barish mein chalna shurua kar diya
koi us ke aansu
nahin dekh pa raha tha
use hansi aa gai
wo ye hansi faroKHt karne laga
us ki filmen dekh kar
wo log bahut hanste hain
jo aansuon ko barish se
alag nahin kar pate
jinhon ne chhup kar
nahin dekha hota apni mahbuba ko
jab un ke pairon mein jute
zaKHmon ki tarah khule paDe hote hain
wo jin ke pas
phaTe hue jute hote hain
un ke pas ek kahani bhi hoti hai
'charlie-chaplin' ke pas bhi ek kahani thi
jis ne ek barish mein use rula diya
ek roz use ilm hua
us aurat ko mare das sal ho gae
aasman saf tha
'charlie-chaplin' ne rone ke liye
kisi barish ka intizar nahin kiya

Nazm
Charlie-chaplin
Syed Kashif Raza