ek do hi nahin chhabbis diye
ek ek kar ke jalae main ne
ek diya nam ka aazadi ke
us ne jalte hue honTon se kaha
chahe jis mulk se gehun mango
hath phailane ki aazadi hai
ek diya nam ka KHush-haali ke
us ke jalte hi ye malum hua
kitni bad-hali hai
peT KHali hai mera jeb meri KHali hai
ek diya nam ka yak-jehti ke
raushni us ki jahan tak pahunchi
qaum ko laDte jhagaDte dekha
man ke aanchal mein hain jitne paiwand
sab ko ek sath udhaDte dekha
dur se biwi ne jhalla ke kaha
tel mahnga bhi hai milta bhi nahin
kyun diye itne jala rakkhe hain
apne ghar mein na jharoka na munDer
taq sapnon ke saja rakkhe hain
aaya ghusse ka ek aisa jhonka
bujh gae sare diye
han magar ek diya nam hai jis ka ummid
jhilmilata hi chala jata hai
Nazm
Charaghan
Kaifi Azmi