charagh ne phul ko janm dena shurua kar diya hai
dur bahut dur mera janm din rahta hai
aangan mein dhup na aae to samho
tum kisi ghair-abaad ilaqe mein rahte ho
miTTi mein mere badan ki TuT-phuT paDi hai
hamare KHwabon mein chap kaun chhoD jata hai
raat ke sannaTe mein TuTte hue charagh
raat ki chadar pe phailti hui subh
main bikhri patiyan uThati hun
tum samundar ke daman mein
kisi bhi lahr ko utar jaane do
aur phir jab insanon ka sannaTa hota hai
hamein marne ki mohlat nahin di jati
kya KHwahish ki miyan mein
hamare hausle rakhe hue hote hain
har wafadar lamha hamein chura le jata hai
raat ka pahla qadam hai
aur main paidal hun
baisakhiyon ka chand banane wale
mere aangan ki chhanw luT chuki
meri aankhen mare hue bachche hain
aur phir meri TuT-phuT
samundar ki TuT phuT ho jati hai
main qarib se nikal jaun
koi samt-e-safar ki pahchan nahin kar sakti
sham ki TuTi munDer se
hamare talatum pe
aaj raat ki tartib ho rahi hai
musafir apne sang-e-mil ki hifazat karta hai
charagh kamra napta hai
aur gham mere dil se janm leta hi hai
zamin hairat karti hai
aur ek peD uga deti hai
Nazm
Charagh jab mera kamra napta hai
Sara Shagufta