ek machchhar kaghaz pe likhi tahrir ka KHun chus raha hai
tum nahin dekhte
kaise koi machchhar ahl-e-mehnat ki jidd-o-jahd ka KHun chus kar apne haram-o-jud ka muzahira karta hai
kar sako to karo
ye faza itni taffun kyun hai
main to har jagah Thahra hua ghalat KHun dekh rahi hun

Nazm
Chand satren
Injila Hamesh