zindagi hai to koi baat nahin hai ai dost
zindagi hai to badal jaenge ye lail o nahaar
ye shab o roz, mah o sal guzar jaenge
hum se be-mehr zamane ki nazar ke atwar
aaj bigDe hain to ek roz sanwar jaenge
faslon marhalon rahon ki judai kya hai
dil mile hain to nigahon ki judai kya hai
kulfat-e-zist se insan pareshan hi sahi
zist aashob-e-gham-e-marg ka tufan hi sahi
mil hi jata hai safinon ko kinara aaKHir
zindagi DhunD hi leti hai sahaara aaKHir
ek na ek roz shab-e-gham ki sahar bhi hogi
zindagi hai to masarrat se basar bhi hogi
zindagi hai to koi baat nahin hai ai dost!
Nazm
Chand roz aur meri jaan faqat chand hi roz
Sufi Tabassum