chand lamhe jinhen ek laghzish-e-pa ne meri
kahin mazi ke andheron mein kuchal Dala tha
choT khai hui nagin ki tarah lahra kar
mere ehsas ke har goshe pe chha jate hain
meri aankhon se mai-e-KHwab uDa jate hain
raat bhar ke liye diwana bana jate hain
KHun ho jata hai jab sozish-e-pinhan se bhaDakta hua dil
tairne lagta hai rag rag mein lahu ho ke dhaDakta hua dil
kapkapate hue honT
thartharaati hui nabz
TimTimate hue aankhon ke diye
god mein sail-e-farawan ko liye
aisi haalat mein koi kaise jiye kaise jiye?
Nazm
Chand lamhe
Khursheed Rizvi