parinda to nahin hun
phir bhi shahpar ka azab
apne tawafon mein sameTe
bun raha hun hindisa be-KHwab raaton ka
ki na-bina jahanon mein
basarat ko samaat mein piro kar jagta hun main
badan ko daeron ki zad pe kho kar jagta hun main
mere chehre mein dozaKH ke shararon ka basera hai
meri aawaz ne apni umudi gunj phaila kar
tumhaare gumbad o mehrab ki tanhai toDi hai
parinda to nahin hun
phir bhi la-yani paron ko taulta rahta hun
ek be-nam gardish mein
bikharti sham ki parchhain se ijad hai meri
falak buniyaad hai meri
izafi aasmanon mein muqayyad panw hain mere
mere qadmon mein jannat hai
Nazm
ChamgadaD
Riyaz Latif