اردو हिंदी
Chamche ki dua | Shaahi Shayari
chamche ki dua

Nazm

Chamche ki dua

Asrar jaamayee

;

lab pe aati hai dua ban ke ye chahat meri
zindagi qab ke chamchon ki ho surat meri

kali daulat se mere ghar mein ujala kar de
aur gharibon ki gharibi ko do-baala kar de

chaTpaTi baat meri garm masala ho jae
KHwah janta ka mere dam se diwala ho jae

zindagi ho meri netaon ki surat ya-rab
ho faqat apni gharaz se hi mohabbat ya-rab

rahun aazad na ho qaid-e-maqami malik
dil badalna ho mera shaghl-e-dawami malik

chaplusi ke hunar mein mujhe yakta kar de
jo bhi ho mere muqabil use paspa kar de

itni tasir KHushamad mein ata kar maula
ki hamesha rahe qabze mein minister maula

chaDhte suraj ka ho qismat mein pujari banna
mujh ko manzur nahin phir se bhikari banna

roghan-e-qaz ki malish ka saliqa aa jae
dam mein fanste rahne ka tariqa aa jae

mere fitnon se har ek ghar ko ukhaDa kar de
ghair to ghair hain apnon ka kabaDa kar de

lekin allah piTai se bachana mujh ko
juta chappal na paDe dahr mein khana mujh ko