chalo phir ek naya mazhab banaen
kuchh aur logon ko banTe aapas mein
baDhaen ranjishen un ki
uksaen logon ko qatl-e-am ke liye
kuchh marenge
kuchh lahuluhan honge
chingari jalti rahegi
piDhi-dar-piDhi
ek dusre ko nicha dikhane ki
kuchh aur KHud-gharaz kud paDenge
is ranjish ke khel mein
sekenge roTiyan
mayyat ki chingari par
aag bujh gai to
mazar ke
diye
se phir jala denge
jala kar ghar hamara
apna mahal raushan karenge
bit jaengi kai piDhiyan
bhul jaengi karan aapsi laDai ka
dharm-guru phir uThenge
sikh denge dharm-raksha ka
kahenge laD-maro
apne dharm ke liye
lekin
kabhi sewam dharm ki raksha ke liye laDne na aaenge
chalo phir ek naya mazhab banaen
kuchh aur logon ko banTen aapas mein
Nazm
Chalo phir ek naya mazhab banaen
Kamal Upadhyay