chalo chhoDo
mohabbat jhuT hai
ahd-e-wafa ek shaghl hai be-kar logon ka
talab sukhe hue patton ka be-raunaq jazira hai
KHalish dimak-zada auraq par bosida satron ka zaKHira hai
KHummar-e-wasl tapti dhup ke sine pe uDte baadalon ki raegan baKHshish!
ghubar-e-hijr-e-sahra mein sarabon se aTe mausam ka KHamyaza
chalo chhoDo
ki ab tak main andheron ki dhamak mein sans ki zarbon pe
chahat ki bina rakh kar safar karta raha hunga
mujhe ehsas hi kab tha
ki tum bhi mausamon ke sath apne pairahan ke rang badlogi
chalo chhoDo
wo sare KHwab kachchi bharbhari miTTi ke be-qimat gharaunde the
wo sare zaiqe meri zaban par zaKHm ban kar jam gae honge
tumhaari ungliyon ki naram poren pattharon par nam likhti thin mera lekin
tumhaari ungliyan to aadatan ye jurm karti thin
chalo chhoDo
safar mein ajnabi logon se aise hadse sarzad hua karte hain sadiyon se
chalo chhoDo
mera hona na hona ek barabar hai
tum apne KHal-o-KHad ko aaine mein phir nikharne do
tum apni aankh ki basti mein phir se ek naya mausam utarne do
mere KHwabon ko marne do
nai taswir dekho
phir naya maktub likho
phir nae mausam nae lafzon se apna silsila joDo
mere mazi ki chahat raegan samjho
meri yaadon se kachche rabte toDo
chalo chhoDo
mohabbat jhuT hai
ahd-e-wafa ek shaghl hai be-kar logon ka
Nazm
Chalo chhoDo
Mohsin Naqvi