bas dekha aur phir bhul gae
jab husn nigahon mein aaya
man-sagar mein tufan uTha
tufan ko chanchal dekh Dari aakash ki ganga dudh-bhari
aur chand chhupa tare soe tufan miTa har baat gai
dil bhul gaya pahli puja man mandir ki murat TuTi
din laya baaten anjaani phir din bhi naya aur raat nai
pitam bhi nai paremi bhi naya sukh sej nai har baat nai
ek pal ko aai nigahon mein jhilmil karti pahli
sundarta aur phir bhul gae
mat jaano hamein tum harjai
harjai kyun kaise kaise
kya dad jo ek lamhe ki ho wo dad nahin kahlaegi
jo baat ho dil ki aankhon ki
tum us ko hawas kyun kahte ho
jitni bhi jahan ho jalwagari us se dil ko garmane do
jab tak hai zamin
jab tak hai zaman
ye husn o numaish jari hai
is ek jhalak ko chhichhalti nazar se dekh ke ji bhar lene do
hum is duniya ke musafir hain
aur qafila hai har aan rawan
har basti har jangal sahra aur rup manohar parbat ka
ek lamha man ko lubhaega ek lamha nazar mein aaega
har manzar har insan ki daya aur miTha jadu aurat ka
ek pal ko hamare bas mein hai pal bita sab miT jaega
is ek jhalak ko chhichhalti nazar se dekh ke ji bhar lene do
tum is ko hawas kyun kahte ho
kiya dad jo ek lamhe ki ho wo dad nahin kahlaegi
hai chand falak par ek lamha
aur ek lamha ye sitare hain
aur umr ka arsa bhi socho ek lamha hai
Nazm
Chal-chalaw
Meeraji