ye kuche ye nilam ghar dilkashi ke
ye luTte hue karwan zindagi ke
kahan hain kahan hain muhafiz KHudi ke
sana-KHwan-e-taqdis-e-mashriq kahan hain
ye pur-pech galiyan ye be-KHwab bazar
ye gumnam rahi ye sikkon ki jhankar
ye ismat ke saude ye saudon pe takrar
sana-KHwan-e-taqdis-e-mashriq kahan hain
taffun se pur nim-raushan ye galiyan
ye masli hui adh khili zard kaliyan
ye bikti hui khokhli rang-raliyan
sana-KHwan-e-taqdis-e-mashriq kahan hain
wo ujle darichon mein payal ki chhan chhan
tanaffus ki uljhan pe table ki dhan dhan
ye be-ruh kamron mein khansi ki Than Than
sana-KHwan-e-taqdis-e-mashriq kahan hain
ye gunje hue qahqahe raston par
ye chaaron taraf bhiD si khiDkiyon par
ye aawaze khinchte hue aanchalon par
sana-KHwan-e-taqdis-e-mashriq kahan hain
ye phulon ke gajre ye paikon ke chhinTe
ye bebak nazren ye gustaKH fiqre
ye Dhalke badan aur ye madquq chehre
sana-KHwan-e-taqdis-e-mashriq kahan hain
ye bhuki nigahen hasinon ki jaanib
ye baDhte hue hath sinon ki jaanib
lapakte hue panw zinon ki jaanib
sana-KHwan-e-taqdis-e-mashriq kahan hain
yahan pir bhi aa chuke hain jawan bhi
tanau-mand beTe bhi abba miyan bhi
ye biwi bhi hai aur bahan bhi hai man bhi
sana-KHwan-e-taqdis-e-mashriq kahan hain
madad chahti hai ye hawwa ki beTi
yashodha ki ham-jins radha ki beTi
payambar ki ummat zuleKHa ki beTi
sana-KHwan-e-taqdis-e-mashriq kahan hain
bulao KHudayan-e-din ko bulao
ye kuche ye galiyan ye manzar dikhao
sana-KHwan-e-taqdis-e-mashriq ko lao
sana-KHwan-e-taqdis-e-mashriq kahan hain
Nazm
Chakle
Sahir Ludhianvi