bachpan ki galiyon mein jin jin gharon ke shishe meri gend se TuTe the
un sab ki kirchen kabhi kabhi meri aankhon mein chubhne lagti hain
jalti dopahron mein mere hathon ujDe hue ghonslon ke behaal parindon ki
chiKHen fariyaaden meri be-ghar shamon mein kohram machati rahti hain
chaknachur dinon reza reza raaton mein soe hue sab KHwab jagati rahti hain
apne KHanjar apne hi sine mein utarne lagte hain
zinda chehre jalte bujhte lamhon ki aaghosh mein marne lagte hain
Nazm
Chak-pheri
Iftikhar Arif