main chait ka phul hun
aur
aakif hun miTTi ke niche
ye chila-kashi hai
kisi aur haiat mein Dhalne ki
chaalis raaton ka chala hai
bhaari kinaron ka tilla hai
dariya se uDti hawa
apni lahron-bhari shaal phailae
buDha falak thoDe aansu bahae
siyah abr palkon ki jhaalar uThae
chamakti hui dhup aaKHir mein aae
mutalla badan ko bichhae
pahaDon ke qadmon se
lambe samundar ki wusat-bhari sarhadon tak!
zamin ek baDi sip hai
bich barish ka wahdaniyat se labaalab bhara
ek qatra hai
jo sip mein girta hai
aur moti mein Dhalta hai
harfon ke
kaun aise jumle banata hai
jumle mein
ek code ki tarah
mani chhupata hai
ashre guzarte hain
ek nasl aati hai
mani ko
jumle ki zanjir se aa ke aazad karti hai
mani-bhare chait ka phul hai
chait ke phul ka
aur teri ungliyon ka
hazaron baras ka purana talluq hai
main chait ka phul hun
aur muallaq paDa hun
kisi darmiyani zamane mein
pahunchunga
barfile raste se hota
KHunuk rut mein
KHushbu bhare phul ki miThi muTThi
ki tahwil se hota
apne abad se
purane Thikane mein!!
Nazm
Chait ka phul
Iqtidar Javed