sanam-kadon mein charaghan hai mai-kadon ki taraf
nigah-e-pir-e-mughan ki sabil jari hai
har ek fusun hai, magar be-asar hai chaaragaro
idhar bhi tishna-labi mustaqil nahin jati
yahan bhi nashsha-e-na-mo'tabar hai chaaragaro
main aisa jada-e-manzil guzishta hun jis ke
har ek sang mein zaKHm-e-safar hai chaaragaro
har ek din ki tarah tha visal ka din bhi
jilau mein farsh, na qadmon mein aasman liye
qarib aae aur aa kar badal gae mausam
guzar gai shab-e-hijran baghair jaan liye
koi sune bhi to kya dastan sunaun use
hadis-e-sham-o-sahar muKHtasar hai chaaragaro
siwae ye ki dil aashufta-sar hai chaaragaro
Nazm
Chaaragaro
Mustafa Zaidi