ek chameli ke manDwe-tale
mai-kade se zara dur us moD par
do badan
pyar ki aag mein jal gae
pyar harf-e-wafa pyar un ka KHuda
pyar un ki chita
do badan
os mein bhigte chandni mein nahate hue
jaise do taza-rau taza-dam phul pichhle-pahar
ThanDi ThanDi subuk-rau chaman ki hawa
sarf-e-matam hui
kali kali laTon se lapaT garm ruKHsar par
ek pal ke liye ruk gai
hum ne dekha unhen
din mein aur raat mein
nur-o-zulmat mein
masjidon ke manaron ne dekha unhen
mandiron ke kiwaDon ne dekha unhen
mai-kadon ki daraDon ne dekha unhen
az-azal ta-abad
ye bata chaara-gar
teri zambil mein
nusKHa-e-kimiya-e-mohabbat bhi hai
kuchh ilaj o mudawa-e-ulfat bhi hai
ek chameli ke manDwe-tale
mai-kade se zara dur us moD par
do badan
Nazm
Chaara-gar
Makhdoom Mohiuddin