phir aaj chaar sal baad usi jagah khaDi hun main
chabutre pe gard ki dabiz tah jami hui
guzarti saaton ke gham daron mein chiKHte hue
udas khiDkiyon ke rang dukh mein bhigte hue
ye KHwab bistaraon ki chadaron mein sukhte hue
wo phul ek bar jis tarah yahan sajae the
usi tarah se un ke zard naqsh kanpte hue
phir aaj chaar sal baad usi jagah khaDi hun main
hawa na-jaane kitni bar dar pe aa ke ja chuki
na-jaane kitni bar khiDkiyon pe dastaken huin
na-jaane kitne qahqahon ko log bhul bhi chuke
chabutre pe gard ki dabiz tah ne kah diya
ki muddaton se yan kisi ne dastan nahin likhi
phir aaj chaar sal baad usi jagah khaDi hun main
haweliyon ka tumtaraq TuT kar bikhar chuka
chaman se ab bahaar ka har ek nasha utar chuka
ananiyat shikast-KHurda KHamushi mein Dhal chuki
aur aaj gumbadon mein apni gunj sun rahi hun main
ki muddaton se ghar mein muskurahaTen na jal sakin
phir aaj chaar sal baad usi jagah khaDi hun main
magar wo nam to kahin khude hue hain peD par
main roz-o-shab ki aandhiyon ko apne ghar mein hi rahun
main sham ko udasiyon mein ek daraKHt ke tale
purane nam chupke chupke yaad kar ke ro sakun
phir aaj chaar sal baad usi jagah khaDi hun main
magar wo peD aandhiyon mein jaane kab ukhaD gaya
na-jaane kaun log is ko kaT kar chale gae
mujhe nahin KHabar ki is ki patiyan kahan gain
tane ki lakDiyan bhi kis machine mein badal gain
wo nam paniyon ke raste kahan chale gae
phir aaj chaar sal baad usi jagah khaDi hun main
main lauT jaungi chabutre ki gard punchh kar
guzarti saaton ke gham-daron mein chiKH jaenge
udas khiDkiyon ke rang dukh mein bhig jaenge
ye KHwab bistaraon ki chadaron mein sukh jaenge
main taza phul jis tarah se ab saja ke jaungi
wahi nuqush chaar sal baad kanp jaenge
main ghurbaton ki qabr mein KHamosh lauT jaungi
ye umr be-kanar raston mein bit jaegi
main ab ujaD bastiyon mein lauT ke na aaungi
Nazm
Chaar sal baad
Tanveer Anjum