اردو हिंदी
Chandni raat mein | Shaahi Shayari
chandni raat mein

Nazm

Chandni raat mein

Aziz Tamannai

;

aur main chandni raat mein so gaya
dekhta kya hun

phaili hui chandni ke kinare kinare
kai barq-raftar parchhaiyan

jaane kab se taaqub-kunan
samt-e-na-ashna ki taraf hain rawan

aur main aahista aahista aage baDha
rahgiron se daman bachata hua

hadd-e-afaq se jab guzarne laga
dekhta kya hun

ek be-karan bahr hai aasman se zamin tak muhit
jis mein har saya-e-tez-rau Dub kar

dhaar leta hai bhige ujale ka rup
main bhi Duba hun is bahr mein bar-ha

chandni ki jhalak bhi na pai kahin
jism o jaan ki siyahi ubharti rahi

aur har bar tarik mahaul mein
aankh khulti rahi

chandni raat mein!!