roz-o-shab
halqa-e-afat hain
har lahza jawan
silsila waqt ki gardish ka yahan
sab hain pabandi-e-auqat-e-zamana mein magan
jaan-o-tan fahm-o-KHirad hosh-o-guman
tum hi tanha nahin is sail-e-rawan mein majbur
main bhi jiti hun yahan KHud se gurezan ho kar
phir bhi ek lamhe ki fursat jo mayassar aae
dil wahin chupke se dhaDkan ko jaga deta hai
tar-raaton mein bikharti hain rupahli kirnen
chandni pichhli mulaqaton ke aaine mein
roz-e-ainda se milti hai gale
kahti hai
an-kahi baaton ki KHushbu se moattar rakhna
apni aawaz abhi
zindagi kitni hi be-mehr sahmi
phir bhi bahaar aaegi
aankhon mein basae rakhna mere andaz abhi
Nazm
Chandni kahti hai
Mah Talat Zahidi