mom ki tarah jalte rahe hum shahidon ke tan
raat-bhar jhilmilati rahi sham-e-subh-e-watan
raat-bhar jagmagata raha chand taron ka ban
tishnagi thi magar
tishnagi mein bhi sarshaar the
pyasi aankhon ke KHali kaTore liye
muntazir mard o zan
mastiyan KHatm, mad-hoshiyan KHatm thin, KHatm tha bankpan
raat ke jagmagate dahakte badan
subh-dam ek diwar-e-gham ban gae
KHar-zar-e-alam ban gae
raat ki shah-ragon ka uchhalta lahu
ju-e-KHun ban gaya
kuchh imaman-e-sad-makr-o-fan
un ki sanson mein afi ki phunkar thi
un ke sine mein nafrat ka kala dhuan
ek kamin-gah se
phenk kar apni nok-e-zaban
KHun-e-nur-e-sahar pi gae
raat ki talchhaten hain andhera bhi hai
subh ka kuchh ujala bhi hai
hamdamo!
hath mein hath do
su-e-manzil chalo
manzilen pyar ki
manzilen dar ki
ku-e-dildar ki manzilen
dosh par apni apni saliben uThae chalo
Nazm
Chand taron ka ban
Makhdoom Mohiuddin