dur kawwon ne baiTh kar lab-e-ju
phir hilae thake thake bazu
gar rahi hain siyahiyan har-su
ek hi bar dal ke darwaze
khulte hain aur phir nahin khulte
raat aurat hai garche tira-jabin
dil magar karwan-e-sarae nahin
ek aiwan hai jis ke darwaze
khul ke ek bar phir nahin khulte
ek bewa ke naujawan jazbaat
soch raushan magar andher hayat
chandni naghma-ha-e-kaif-o-surur
chand lamhon ka ek fasana-e-nur
aur phir tirgi sahar-andesh
jis tarah koi ek pal ke liye
apna aanchal bikher kar chun le
aur phir parda-ha-e-tariki
ek hi bar dal ke darwaze
khulte hain aur phir nahin khulte
Nazm
Chand-raat
Syed Faizi