اردو हिंदी
Chand ki buDhiya | Shaahi Shayari
chand ki buDhiya

Nazm

Chand ki buDhiya

Rahi Masoom Raza

;

man se ek bachche ne puchha
chand mein ye dhabba kaisa hai

man ye boli
chanda beTe

jis ko tum dhabba kahte ho wo to ek pagal buDhiya hai
bachche ne masum aankhon se kuchh lamhon tak man ko baDi hairat se dekha

aur ye puchha
man jab main chanda beTa hun to mujh mein bhi ek pagal buDhiya hogi

man ne us ko bhench liya
us ke lab chume

gardan chumi matha chuma
aur ye boli han tujh mein bhi ek buDhiya hai