shahr-e-dil ki galiyon mein
sham se bhaTakte hain
chand ke tamannai
be-qarar saudai
dil-gudaz tariki
ruh-o-jaan ko Dasti hai
ruh-o-jaan mein basti hai
shahr-e-dil ki galiyon mein
tak shab ki belon par
shabnamin sarishkon ki
be-qarar logon ne
be-shumar logon ne
yaadgar chhoDi hai
itni baat thoDi hai
sad hazar baaten thin
hila-e-shakebai
suraton ki zebai
qamaton ki ranai
in siyah raaton mein
ek bhi na yaad aai
ja-ba-ja bhaTakte hain
kis ki rah takte hain
chand ke tamannai
ye nagar kabhi pahle
is qadar na viran tha
kahne wale kahte hain
qarya-e-nigaran tha
KHair apne jine ka
ye bhi ek saman tha
aaj dil mein virani
abr ban ke ghir aai
aaj dil ko kya kahiye
ba-wafa na harjai
phir bhi log diwane
aa gae hain samjhane
apni wahshat-e-dil ke
bun liye hain afsane
KHush-KHayal duniya ne
garmiyan to jati hain
wo ruten bhi aatin hain
jab malul raaton mein
doston ki baaton mein
ji na chain paega
aur ub jaega
aahaTon se gunjegi
shahr-e-dil ki pahnai
aur chand raaton mein
chandni ke shaidai
har bahane niklenge
aazmane niklenge
aarzu ki gahrai
DhunDne ko ruswai
sard sard raaton ko
zard chand baKHshega
be-hisab tanhai
be-hijab tanhai
shahr-e-dil ki galiyon mein
Nazm
Chand ke tamannai
Ibn e Insha