اردو हिंदी
Chand ka qarz | Shaahi Shayari
chand ka qarz

Nazm

Chand ka qarz

Sara Shagufta

;

hamare aansuon ki aankhen banai gain
hum ne apne apne talatum se rassa-kashi ki

aur apna apna bain hue
sitaron ki pukar aasman se ziyaada zamin sunti hai

main ne maut ke baal khole
aur jhuT pe daraaz hui

nind aankhon ke kanche khelti rahi
sham doghle-rang sahti rahi

aasmanon pe mera chand qarz hai
main maut ke hath mein ek charagh hun

janam ke pahiye par maut ki rath dekh rahi hun
zaminon mein mera insan dafn hai

sajdon se sar uTha lo
maut meri god mein ek bachcha chhoD gai hai