chand ne jab raat ko
aasman ke auj se
arz par Dali nazar
to use tarikiyon mein gharq duniya par taras aaya bahut
aur us ne arz par kuchh toD lane ka irada kar liya
jab wo utra aasman se
to muqaddar ne use laTka diya
ek salib-e-naKHl par
aur duniya so rahi thi raat ki aaghosh mein
chand ka kya haal hai
puchhta koi nahin
Nazm
Chand
Intikhab Alam