unche unche peD khaDe hain chilon ke
kohsaron ki Dhalanon par jo niche
dauDi jati hain
chand se chehre wali nadi ke milne ko
chaaron jaanib chhai chup ke pahlu se
dard ki surat uThne wali tez hawa
gird-o-pesh se be-parwa
apni rau ek hi lai main gati hai
us ki ye begana rawi diwana hi banati hai
ek patthar par baiTha pahron ek hi samt mein takta hun
niche dauDi jati Dhalanen
jaise palaT kar aati hain
chilon ke peDon ke phungon se bhi uncha jati hain
patton ke ab paiham raqs ki tal badalti hai
main hi shayad
dard ke saz pe apna rag alape jata hun
jaane kab tak
dur falak par chand chamakne lagta hai
Nazm
Chand chamakne lagta hai
Qayyum Nazar