thi ek aisi raat ki hum donon tanha the
chand bhi hum bhi
chand ye bola
diwane aa baat karen kuchh
hijr ki raat bahut bhaari hai
main to kab se sard paDa hun
is nile sahra mein yunhi main sadiyon se aawara hun
aur tanha hun
diwane aa baat karen kuchh
tere dil mein shayad ab tak koi dahakta angara hai
hijr ki ThanDi rakh ki tah mein shayad koi chingari hai
hijr ki raat bahut bhaari hai
diwane aa baat karen kuchh
main ne socha
main dharti ka rahne wala
ye nile aakash ka basi
mera is ka mel nahin hai
tanhai hai khel nahin hai
main ne ek chaman mein ja kar KHushbu ko ye baat batai
chand ka bachna ab mushkil hai
chaar taraf se ghabra ke us ko mar rahi hai phaili hui nili tanhai
KHushbu ne li ek angDai
aur ye boli
han bas thoDi der hui
shabnam kuchh is se milta-julta
ek paigham sa to lai thi
lekin shaer main kyun jaun
jis ko tanhai Dasti ho wo KHud aae
main kyun jaun
aaKHir mauj-e-hawa aati hai
aur barhana-pa aati hai
main kya karta
main lauT aaya
chand judai ke nile sahra mein ab tak aawara tha
aur tanha tha
meri jaanib dekh raha tha
tab main ne do pankh lagae
koi nahin jata to na jae main jata hun
chand akela Dar jaega
mar jaega
niche ab ek chandni ki gahri khai hai
aawazon ka ek jangal hai
aur ek dasht-e-tanhai hai
ek sahra-e-ruswai hai
mere thakte bazu mein aur chand mein shayad duri ab bhi utni hi hai
chand abhi tak dur hai mujh se
aur abhi tak
meri jaanib dekh raha hai
aur kahta hai
diwane aa baat karen kuchh
hijr ki raat bahut bhaari hai
tere dil mein shayad ab tak shauq ki koi chingari hai
Nazm
Chand aur chakor
Rahi Masoom Raza