chand aaj ki raat nahin nikla
wo apne lihafon ke andar chehre ko chhupae baiTha hai
wo aaj ki raat na niklega
ye raat bala ki kali-raat
tare use ja ke bulaenge
sahra use aawazen dega
bahr aur pahaD pukarenge
lekin us nind ke mate par kuchh aisa nind ka jadu hai
wo aaj ki raat na niklega
ye raat bala ki kali-raat
maghrib ki hawaen chiKHengi bahr apna rag alapega
saen saen
tariki mein chupke chupke sunsan bhayanak rete par
baDhta baDhta hi jaega
maujon ki musalsal yurish mein
wo git barabar gate hue
jo koi nahin ab tak samjha
sabze mein hui kuchh jumbish si
wo kanpa
aahen bharne laga
chand aaj ki raat nahin nikla
bheDen sar niche Dale hue
chup-chap aankhon ko band kiye
maidan ki udas KHamoshi mein fitrat ki khuli chhat ke niche
kyun sahmi sahmi phirti hain
aur baham simTi jati hain
chand aaj ki raat nahin nikla
chand aaj ki raat na niklega
Nazm
Chand aaj ki raat nahin nikla
Tasadduq Husain Khalid