huzur main is siyah chadar ka kya karungi
ye aap kyun mujh ko baKHshte hain ba-sad inayat
na sog mein hun ki us ko oDhun
gham-o-alam KHalq ko dikhaun
na rog hun main ki is ki tarikiyon mein KHiffat se Dub jaun
na main gunahgar hun na mujrim
ki is syahi ki mehr apni jabin pe har haal mein lagaun
agar na gustaKH mujh ko samjhen
agar main jaan ki aman paun
to dast-basta karun guzarish
ki banda-parwar
huzur ke hujra-e-mattar mein ek lasha paDa hua hai
na jaane kab ka gala saDa hai
ye aap se rahm chahta hai
huzur itna karam to kije
siyah chadar mujhe na dijiye
siyah chadar se apne hujre ki be-kafan lash Dhanp dijiye
ki us se phuTi hai jo ufunat
wo kuche kuche mein hanpti hai
wo sar paTakti hai chaukhaTon par
barahnagi tan ki Dhanpti hai
sunen zara dil-KHarash chiKHen
bana rahi hain ajab hayule
jo chadaron mein bhi hain barahna
ye kaun hain jaante to honge
huzur pahchante to honge
ye launDiyan hain
ki yarghamali halal shab-bhar rahe hain
dam-e-subh dar-ba-dar hain
huzur ke nutfe ko mubarak ke nisf wirsa se be-mo'atabar hain
ye bibayan hain
ki zaujagi ka KHiraj dene
qatar-andar-qatar bari ki muntazir hain
ye bachchiyan hain
ki jin ke sar par phira jo hazrat ka dast-e-shafqat
to kam-sini ke lahu se rish-e-saped rangin ho gai hai
huzur ke hajla-e-moattar mein zindagi KHun ro gai hai
paDa hua hai jahan ye lasha
tawil sadiyon se qatl-e-insaniyat ka ye KHun-chakan tamasha
ab is tamasha ko KHatm kije
huzur ab is ko Dhanp dijiye
siyah chadar to ban chuki hai meri nahin aap ki zarurat
ki is zamin par wajud mera nahin faqat ek nishan-e-shahwat
hayat ki shah-rah par jagmaga rahi hai meri zehanat
zamin ke ruKH par jo hai pasina to jhilmilati hai meri mehnat
ye chaar-diwariyan ye chadar gali saDi lash ko mubarak
khuli fazaon mein baadban khol kar baDhega mera safina
main aadam-e-nau ki ham-safar hun
ki jis ne jiti meri bharosa-bhari rifaqat
Nazm
Chadar aur chaar-diwari
Fahmida Riaz