kal sham nahr ki paTri ke sath sath
main apne na-tawan kandhon par
ek shikasta bori uThae ja raha tha
ki chiKH-o-pukar shurua hui
pakDo pakDo qatil qatil
nahr par mutayyan police chauki ke mustaid amle ne
sanginon se mera taaqub kiya
main apni tamam-tar quwwat se bhagne ke bawajud
chand hi lamhon mein un ki aahani giraft mein tha
police chauki mein sawalon ki bochhaD se
meri quwwat-e-goyai jawab de gai
ek makruh surat monchhon wala ba-wardi shaKHs
wahshat-nak aankhon se amle ki taraf dekhte hue
apni shadid karaKHt aawaz mein chiKHa
bori ka munh kholo
sara amla shashdar rah gaya
ki bori mein lipTi hui lash meri hi thi
aur main chup sadhe use tak raha tha
Nazm
Apni zat ki chori
Yusuf Kamran