ek umang se
tani hui ek pur-asrar gali
patti patti aag liye jati hai
ye sarkash KHun-farosh
apne barush ki jumbish se
maili subh mein
surKH rang bhar degi
aaj numu ke nile zahr se
bhari hui baiThi hai
os mein tar koi be-ghar titli
nin-peD ki KHwab-shaKH par
pile dhani andeshon ki
dhanak pahan ke soti hai
is kohre mein
wo jadu-gar bir-bahuTi kiran dikhai de
jo us ke majruh paron se
shabnam ki zanjir toD ke
use rihai de
narm ghas mein hawa uDe
jo miTTi mein band mahak
apne razor se kaT kaT ke
dharti se aazad kare
manzaron ka said mein
ek apne camere mein qaid mein
Nazm
Camera
Saqi Faruqi