dhyan ki diwaron se
gae dinon ki yaaden kaise utarun
is calendar mein jitni taswiren hain
sab mujh ko jaan se pyari hain
is mein pahli taswir jo hai
ye mera sahma sahma KHauf-zada bachpan
jis ke pas-manzar mein jiwan
sauteli maon jaisi saffaki se mujh ko takta hai
mahrumi mere gal masal kar
roTi ka TukDa deti hai
aur bhuk Tahoka deti hai
is mein duji taswir jo hai
ye sabz laDakpan ki dahliz pe
nange panw
phaTe libaade
KHwabon ki ujli pariyon ki sangat mein
ek bachchi dauDi jati hai
ek KHwahish uDti jati hai
rangin ghubaron ki surat
jo hathon se chhuT jate hain
us mein agli taswir jo hai
ye bhor samay ki duri par
ek basti ki
jis basti mein
ek aangan hai
jis aangan mein
ek phul sada se khila hua
ek aag musalsal raushan hai
wo aag
ki jis ko hijr ki andhi raaten bhi kajla na sakin
wo phul
ki jis ko dukh ki garm hawaen bhi kumhla na sakin
in taswiron mein zinda hai
in taswiron mein raushan hai
Nazm
Calendar
Ishrat Afreen