meri mahbub ye aansu hain ki moti ruKH par
un ko is tarah na bekar ganwa man bhi ja
abhi jalne de ye sina abhi phaTne de dimagh
aatish-e-gham ko na ashkon se bujha man bhi ja
ye nahin hai ki main is dard se aagah nahin
tu gham-e-dahr pe roti hai pata hai mujh ko
jaanta hun main ki is gham ki haqiqat kya hai
yahi gham aur isi shiddat se hua hai mujh ko
han magar hum hi nahin is ke shikanje ke shikar
apni hi tarah zamane mein hazin aur bhi hain
apne sine hi nahin ranj-o-alam ke madfan
dard ke raaz to poshida kahin aur bhi hain
hath par hath dhare sab hon agar girya-kunan
phir un ashkon ka kare kaun mudawa aaKHir
kis tarah dukh ye Talen zaKHm bharen dagh miTen
in tamannaon ko de kaun sahaara aaKHir
aaj bebas hain to kya aaj hain majbur to kya
bebasi hi pe nahin KHatm kahani apni
gham ke shoalon ko hawa de ke agar tez karen
rang laegi yahi shoala-fishani apni
KHud-kushi qabr main bhejegi hamein gham ko nahin
marg-e-hasti mein kahan hai gham-e-hasti ka ilaj
qabr mein lashen hi lashen hain tamannaon ki
maut ke pas kahan apni gharibi ka ilaj
gham ke zarron ko sameTun ki baDe kaam ke hain
ye simaT jaen to ho jae himala paida
dard ki aag ko sine mein waba rahne do
jab ye bhaDkegi to kar degi ujala paida
Nazm
Mashwara
Daud Ghazi