main mohabbat ke sitaron se nikalta hua nur
haq-o-nahaq ke libaadon mein chhupa ek shuur
mere hi dam se hua masjid-o-mandir ka zuhur
main musalman-o-barahman ke iradon ka futur
main haya-zadi-o-KHush-nain ke honTon ka surur
kisi majbur tawaif ki nigahon ka qusur
meri KHwahish thi ki main KHud hi zamin par jaun
aur zamin-zad ka KHud ja ke main anjam karun
wo zamin-zad ki ehsan-faramosh hai jo
wo zamin-zad ki jo KHud hi zamin par utra
aur zamin wo jo wafadar nahin ho sakti
wo zamin jis pe kai KHun ke ilzam lage
wo zamin jis ne yahan dekhe hain kaTte hue sar
wo zamin deti rahi hai jo gunahon ko panah
wo zamin jis ne chhupae hain kai raaz-o-niyaz
sazishen hoti rahin jis pe mohabbat ke KHilaf
aur wo chup hai ugalti hi nahin ek bhi lafz
masala ye hai ki ab kis se gawahi mangun
Nazm
Gawahi
Waqar Khan