dayar-e-barg-e-raana se
guzarta hun
to mujh ko KHauf aata hai
dam-e-lams-e-pareshan se
sada-e-dida-e-tar se
main us ke rang ko
KHushbu ko us ki naghmagi ko
hadisa majruh-o-damanda na kar Dalo
KHumar-e-arzu ki intiha par
main qalam karta hun apni ungliyon ko
putliyon ki bastiyon mein
jagmagate sab sitaron ko bujhata hun
main tazim-e-ada-e-nur ke hangam mein
manus chehron
aur aawazon ke sahil par
sar-e-mauj-e-farawan
raushni ka jara anjam pita hun
main apne har safar ki ki aaKHiri qurbat ki manzil hun
main buzdil hun
Nazm
Buzdil
Balraj Komal