hujum-e-sang-e-ana aur zabt-e-paiham ne
misal-e-reg-e-rawan be-qarar rakkha hai
mere wajud ki wahshat ne raat bhar mujh ko
ghubar-e-qafila-e-intizar rakkha hai
ba-pesh-e-KHidmat-e-chashm-e-sarab-aluda
hawa ne dast-e-talab bar bar rakkha hai
main teri yaad ke jadu mein tha sahar mujh ko
na-jaane kaun si manzil pe la ke chhoD gai
ki sans sans mein tere badan ki KHushbu hai
qadam qadam pe teri aahaTon ka Dera hai
magar nazar mein faqat shab-zada sawera hai
tahi tahi se manazir hain gard gard faza
mata-e-umr wahi ek KHwab tera hai
tere jamal ka partaw nahin magar phir bhi
KHayal aaina-KHana sajae baiTha hai
jidhar bhi aankh uThata hun ek wahshat hai
tu hi bata ki kahan tak fareb dun KHud ko
ki mera aks mere KHauf ki shahadat hai
mera wajud hai aur shahr-e-sang-baran hai
bachaun jaan ki tamir-e-qasr-e-zat karun
main apna hath baghal mein dabae sochta hun
mere nasib mein suraj kahan jo baat karun
main wadiyon ki masafat se kis liye niklun
safar ek aur pahaDon ke par rakkha hai
Nazm
Buzdil
Amjad Islam Amjad