ye koi tariqa hai tanz yun nahin karte 'shad'-arfi-sahib
aap jaise dil wale is tarah nahin marte 'shad'-arfi-sahib
baghban ki sazish se phul toD kar gulchin KHar mein piroenge
nam le ke tufan ka naKHuda safinon ko ret mein Diboenge
aap ki tamanna thi jail ja ke marne ki bhul ho gai shayad
luTti rahi paiham saTh sal jo duniya yun na baKHshiye us ko
man ki maut par apna jo makan becha tha yaad kijiye us ko
'shad'-arfi-sahib aap ko to duniya se intiqam lena hai
sochiye zamane ne aap ko diya kya hai aap se liya kya hai
fikr-o-fan ke badle mein talKHiyan ata ki hain jis samaj ne qibla
pur-KHulus sine par barchhiyan chalai hain jis samaj ne qibla
aap ki KHamoshi par wo samaj hansta hai dekh lijiye muD kar
phir koi nai phabti tanz ka koi nashtar war kijiye muD kar
buz-dili na hogi kya zindagi ke mujrim ko yun muaf kar dena
maut ka to matlab hai zulm ke liye rahen aur saf kar dena
KHair hum samajhte hain maut se nahin Darte 'shad'-arfi-sahib
ye bhi tanz hi hoga mar ke bhi nahin marte 'shad'-arfi-sahib

Nazm
Buz-dili
Muzaffar Hanfi